tab ke kya hasil-e-wafa hoga
ishq jab talib-e-saza hoga
main hi shayad na sun saka yarab
us ne kuchh to mujhe kaha hoga
KHud-parasti ho jis ki fitrat mein
wo to be-sharm be-haya hoga
phir mohabbat na karna chahoge
mera fasana gar suna hoga
gham mere sath tha hamesha se
ab ke wo bhi zara KHafa hoga
KHwahishen aur baDhti jaengi
kya yahi hasil-e-dua hoga
kis ki aahaT sunai deti hai
zaKHm shayad koi naya hoga
thi usi dam pe thoDi ranai
ab KHayal us ka bhi gaya hoga
kaisa har samt ye andhera hai
chand shayad bujha bujha hoga
kya kaha zulm us ki fitrat hai
us ko jaane de wo KHuda hoga
aandhiyon ko bhi kar raha raushan
kaisa wo sar-phira diya hoga
maut jis ko lage hai dushman si
har ghaDi Dar ke wo jiya hoga
maut ka KHauf wo nahin rakhta
ek lamha bhi jo jiya hoga
apni hasti miTa sakun 'nadim'
is se baDh kar junun kya hoga

Ghazal
Tab ke kya hasil-e-wafa hoga
Sandeep Koul Nadim