اردو हिंदी
Talluq us se agarche mera KHarab raha | Shaahi Shayari
talluq us se agarche mera KHarab raha

Ghazal

Talluq us se agarche mera KHarab raha

Yashab Tamanna

;

talluq us se agarche mera KHarab raha
qasam safar ki wahi ek ham-rikab raha

samajh saka na use main qusur mera hai
ki mere samne to wo khuli kitab raha

main ek lafz bhi lekin na paDh saka us ko
agarche wo bhi mera shamil-e-nisab raha

main marifat ke hun ab us maqam par ki jahan
kiya gunah bhi to KHadsha-e-sawab raha

haqiqaton se mafar chahi thi 'yashab' main ne
par asl asl raha aur KHwab KHwab raha