اردو हिंदी
Talib KHuda se adl ke KHwahan karam ke hain | Shaahi Shayari
talib KHuda se adl ke KHwahan karam ke hain

Ghazal

Talib KHuda se adl ke KHwahan karam ke hain

Radhe Shiyam Rastogi Ahqar

;

talib KHuda se adl ke KHwahan karam ke hain
mazlum hum buton ke jafa-o-sitam ke hain

ummidwar-e-jah na talib hasham ke hain
hum baadshah kishwar-e-ishq-e-sanam ke hain

duniya sara hai hum hain musafir Thahar gae
mulk-e-baqa se aae hain aazim adam ke hain

dil bhi jigar bhi jaan bhi sina bhi ishq mein
ye sab makan sadma-o-dard-o-alam ke hain

talib hain ganj-e-wasl ke ek samt mein se ye
'ahqar' to aaj pher mein gahri raqam ke hain