tair-e-dil ke liye zulf ka jal achchha hai
hila-sazi ke liye dana-e-KHal achchha hai
dil ke talib nazar aate hain hasin har jaanib
us ke lakhon hain KHaridar ki mal achchha hai
tab-e-nazzara nahin go mujhe KHud bhi lekin
rashk kahta hai ki aisa hi jamal achchha hai
dil mein kahte hain ki ai kash na aae hote
un ke aane se jo bimar ka haal achchha hai
mutmain baiTh na ai rah-raw-e-rah-e-uruj
tera rahbar hai agar KHauf-e-zawal achchha hai
na rahi be-KHudi-e-shauq mein itni bhi KHabar
hijr achchha hai ki 'mahrum' visal achchha hai
Ghazal
Tair-e-dil ke liye zulf ka jal achchha hai
Tilok Chand Mahroom