surat-e-mauj samundar mein kahan se aaya
main musafir ki tarah ghar mein kahan se aaya
KHwahish-e-KHud-nigari sabz hui kis rut mein
aaina dast-e-sikandar mein kahan se aaya
sar darichon se nikal aae sada sunte hi
ye hunar tere gadagar mein kahan se aaya
markaz-e-gul tha so ab KHak nazar aata hai
ye taghayyur mere bistar mein kahan se aaya
meri raaten bhi siyah din bhi andhere mere
rang ye mere muqaddar mein kahan se aaya
kis ne khincha meri tanhai ka naqsha 'asim'
dasht is shahr ke manzar mein kahan se aaya
Ghazal
Surat-e-mauj samundar mein kahan se aaya
Liyaqat Ali Aasim