اردو हिंदी
Suraj sa bhi tara ho zamin si bhi zamin ho | Shaahi Shayari
suraj sa bhi tara ho zamin si bhi zamin ho

Ghazal

Suraj sa bhi tara ho zamin si bhi zamin ho

Hamid Saleem

;

suraj sa bhi tara ho zamin si bhi zamin ho
mumkin hai falak par koi tum sa bhi hasin ho

tardid-e-jahaalat ki saza maut hai chup hun
ab kaun yahan khol ke lab munkir-e-din ho

is baat se kafir ko bhi inkar nahin hai
wo shaKHs payambar hai jo sadiq ho amin ho

sunta hun kai dair o kalisa ke fasane
ai kash kisi baat ka mujh ko bhi yaqin ho

uDta phirun gar charKH pe har ranj se aazad
yarab yahi aalam mujhe firdaus-e-barin ho

be-wajh bhi dekha hai pareshan tumhein 'hamid'
diwane bhi lagte nahin aashiq bhi nahin ho