اردو हिंदी
Suraj ko kya pata hai kidhar dhup chahiye | Shaahi Shayari
suraj ko kya pata hai kidhar dhup chahiye

Ghazal

Suraj ko kya pata hai kidhar dhup chahiye

Ghayas Mateen

;

suraj ko kya pata hai kidhar dhup chahiye
aangan baDa hai apne bhi ghar dhup chahiye

aaine TuT TuT ke bikhre hain chaar-su
DhunDenge aks aks magar dhup chahiye

bhige hue paron se to uDne na paenge
kaTun na un parindon ke par dhup chahiye

hum se darida-pairahan-o-jaan ke waste
yaqut chahiye na guhar dhup chahiye

suraj na jaane kaun si wadi mein chhup gaya
aur chiKHti phire hai sahar dhup chahiye

ek nind hai ki aankh se lag kar nikal gai
ab raat ka tawil safar dhup chahiye

pani pe chahe naqsh banae koi 'matin'
kaghaz pe main banaun magar dhup chahiye