suraj dhire dhire pighla phir taron mein Dhalne laga
mere andar ka sannaTa jag ke aankhen malne laga
sham ne barf pahan rakkhi thi raushniyan bhi ThanDi thin
main is ThanDak se ghabra kar apni aag mein jalne laga
sara mausam badal chuka tha phul bhi the aur aag bhi thi
raat ne jab ye swang rachaya chand bhi rup badalne laga
aawazon ke ang ang mein dard ke nashtar chubhne lage
pyasi aankhon ke sahra mein ret ka jhakkaD chalne laga
nile surKH safed sunahre ek ek karke Dub gae
samton ki har pagDanDi par kala rang pighalne laga
Ghazal
Suraj dhire dhire pighla phir taron mein Dhalne laga
Shamim Hanafi