اردو हिंदी
Surur-e-ishq ki masti kahan hai sab ke liye | Shaahi Shayari
surur-e-ishq ki masti kahan hai sab ke liye

Ghazal

Surur-e-ishq ki masti kahan hai sab ke liye

Azeem Qureshi

;

surur-e-ishq ki masti kahan hai sab ke liye
wo mujh mein jazb hua aa ke ek shab ke liye

wo ek karb-e-hasin jo mujhe hua hai ata
na tere ruKH ke liye hai na tere lab ke liye

kabhi to ulTe sar-e-am wo naqab apni
taras rahe hain sabhi baada-e-inab ke liye

tere visal ki kab aarzu rahi dil ko
ki hum ne chaha tujhe shauq-e-be-sabab ke liye

dil-e-hazin ki do-alam nahin baha jis ki
luTaya main ne ise teri ek chhab ke liye

wahi kiran jo sar-e-charKH rah gai tanha
wo sog ban gai taron ke har tarab ke liye

'azim' ishq-e-shah-e-do-sara basa dil mein
wahi ajam ke liye hai wahi arab ke liye