اردو हिंदी
Surur-afza hui aaKHir sharab aahista aahista | Shaahi Shayari
surur-afza hui aaKHir sharab aahista aahista

Ghazal

Surur-afza hui aaKHir sharab aahista aahista

Wahshat Raza Ali Kalkatvi

;

surur-afza hui aaKHir sharab aahista aahista
hua wo bazm-e-mai mein be-hijab aahista aahista

ruKH-e-raushan se yun uTThi naqab aahista aahista
ki jaise ho tulu-e-aftab aahista aahista

kiya jab shauq ne us se KHitab aahista aahista
haya ne bhi diya aaKHir jawab aahista aahista

wo masti-KHez nazren rafta rafta le uDin mujh ko
kiya kashana-e-dil ko KHarab aahista aahista

baDha hangama-e-shauq is qadar bazm-e-harifan mein
ki ruKHsat ho gaya us ka hijab aahista aahista

kiya kaamil hamein ek umr mein soz-e-mohabbat ne
hue hum aatish-e-gham se kabab aahista aahista

abas tha zabt ka dawa sitam us ke sitam nikle
nigahen ho gain aaKHir pur-ab aahista aahista

dabistan-e-wafa mein umr bhar ki safha-gardani
samajh mein aai ulfat ki kitab aahista aahista

ba-qadr-e-shauq use tab-e-tapidan thi kahan qatil
kiya bismil ne tere iztirab aahista aahista

bala hain shahidan-e-shahr 'wahshat' mai-parasti mein
hua main un ki sohbat mein KHarab aahista aahista