surKH chashm itni kahin hoti hai bedari se
lahu utra hai teri aankhon mein KHun-KHwari se
waqt ruKHsat ke tere ai mere ji ke dushman
tham tham aaj rakha dil ko main kis KHwari se
bas main aaya jo tumhaare use chaho so karo
kya sitam aadmi sahta nahin lachaari se
kis ne nazron mein KHuda jaane use mal Dala
nargis aaj aankh uThati nahin bimari se
kya kahun walwala-e-shauq ko tere main 'amir'
ghar mein jate hain parae to KHabardari se
Ghazal
SurKH chashm itni kahin hoti hai bedari se
Navab Mohammad Yar Khan Ameer