sunsan raston se sawari na aaegi
ab dhul se aTi hui lari na aaegi
chhappar ke chae-KHane bhi ab unghne lage
paidal chalo ki koi sawari na aaegi
tahrir o guftugu mein kise DhunDte hain log
taswir mein bhi shakl hamari na aaegi
sar par zamin le ke hawaon ke sath ja
aahista chalne wale ki bari na aaegi
pahchan apni hum ne miTai hai is tarah
bachchon mein koi baat hamari na aaegi
Ghazal
Sunsan raston se sawari na aaegi
Bashir Badr