suna hai zaKHmi-e-tegh-e-nigah ka dam nikalta hai
tera arman le ai qatil-e-alam nikalta hai
na aankhon mein murawwat hai na ja-e-rahm hai dil mein
jahan mein bewafa mashuq tum sa kam nikalta hai
kaha aashiq se waqif ho to farmaya nahin waqif
magar han is taraf se ek na-mahram nikalta hai
mohabbat uTh gai sare zamane se magar ab tak
hamare doston mein ba-wafa ek gham nikalta hai
pata qasid ye rakhna yaad us qatil ke kuche se
koi nalan koi bismil koi be-dam nikalta hai
Ghazal
Suna hai zaKHmi-e-tegh-e-nigah ka dam nikalta hai
Hairat Allahabadi