suna hai is taraf ka ruKH karenge
tere dushman meri jaanib baDhenge
kisi se kuchh na puchha kuchh na jaana
ye dhabbe KHun ke kaise dhulenge
bahut hain chaar din ye zindagi ke
kabhi ran mein kabhi ghar mein rahenge
masihaon ko ab zahmat na hogi
hum un ke aate aate mar chukenge
kahan jate hain ghabrae hue log
ki sahra mein to diwane rahenge
abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi'
agar zinda rahe to phir milenge
Ghazal
Suna hai is taraf ka ruKH karenge
Khalid Ebadi