suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to
nikal aaen aansu kaleja pakaD lo karun arz apni kahani kaho to
tumhein rang-e-mai shaiKH marghub kya hai gulabi ho ya zafrani kaho to
pilae koi saqi-e-hur-paikar musaffa kashida purani kaho to
tamanna-e-didar hai hasrat-e-dil ki tum jalwa-farma ho main aankhen sekun
na kah dena musa se jaise kaha tha meri arz par lan-tarani kaho to
wafa-pesha aashiq nahin dekha tum ne mujhe dekh lo jaanch lo aazma lo
tumhaare ishaare pe qurban kar dun abhi maya-e-zindagani kaho to
kahan main kahan dastan ka taqaza mere zabt-e-dard-e-nihan ka hai kahna
phir us par ye takid bhi hai barabar na kahna purani kahani kaho to
mere nama-e-shauq ki satr mein hai jagah ek jo sada wo mohmal nahin hai
main ho jaun KHidmat mein hazir abhi KHud batane ko is ke maani kaho to
Ghazal
Suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to
Saail Dehlvi