sun! hijr aur visal ka jadu kahan gaya
main to kahin nahin tha magar tu kahan gaya
jab KHema-e-KHayal mein taswir hai wahi
wo dasht-e-na-murad wo aahu kahan gaya
bistar pe gir rahi hai siyah aasman se rakh
wo chandni kahan hai wo mah-ru kahan gaya
jis ke baghair ji nahin sakte the ja chuka
par dil se dard aankh se aansu kahan gaya
phir KHak uD rahi hai makan-e-wajud mein
ai jaan-e-be-qarar wo dil-ju kahan gaya
Ghazal
Sun! hijr aur visal ka jadu kahan gaya
Akbar Masoom