sulh-o-paikar bhi ho aur rifaqat bhi rahe
KHun mein ajdad ki thoDi si sharafat bhi rahe
zehn-e-KHwabida ko masruf-e-amal rakhna hai
kya zaruri ki ishaaron mein sarahat bhi rahe
ye to mumkin hai faqat gosha-e-tanhai mein
shor-e-bazar na ho aur qayamat bhi rahe
raushni ke liye darkar hai be-tabi-e-KHak
chand lekin hunar-e-shab se ibarat bhi rahe
sunte aae hain mohabbat hai ibaadat ai dost
kabhi hans-bol ke baiTho to ibaadat bhi rahe
shairi naghmagari saat-e-hairani mein
taza-kari ho magar pas-e-riwayat bhi rahe
Ghazal
Sulh-o-paikar bhi ho aur rifaqat bhi rahe
Syed Amin Ashraf