sulaiman-e-suKHan to KHair kya hun
yake az shahr-e-yaran-e-saba hun
wo jab kahte hain farda hai KHush-aind
ajab hasrat se muD kar dekhta hun
firaq ai man ki main zina-ba-zina
kali hun gul hun KHushbu hun saba hun
sahar aur dopahar aur sham aur shab
main in lafzon ke mani sochta hun
kahan tak kahili ke tan sunta
thakan se chur ho kar gir paDa hun
taraqqi par mubarakbaad mat do
rafiqo mein akela rah gaya hun
kabhi rota tha us ko yaad kar ke
ab aksar be-sabab rone laga hun
sune wo aur phir kar le yaqin bhi
baDi tarkib se sach bolta hun
Ghazal
Sulaiman-e-suKHan to KHair kya hun
Anwar Shuoor