اردو हिंदी
Sulagti rut thi pa kab tu bhi pas aisa tha | Shaahi Shayari
sulagti rut thi pa kab tu bhi pas aisa tha

Ghazal

Sulagti rut thi pa kab tu bhi pas aisa tha

Khan Mohammad Khaleel

;

sulagti rut thi pa kab tu bhi pas aisa tha
ki tere qurb ka manzar bhi pyas aisa tha

bichhaD ke tujh se to KHud se bhi sharm aati hai
tera wajud-e-badan par libas aisa tha

KHud apne dil ki sada teri dastakon si lagi
guman mein tha tera aana qayas aisa tha

shikast-o-reKHt ki saKHti ko kaise jhel gaya
mulaemat mein jo paikar kapas aisa tha

jahan kahin bhi gaya hun to ghar ko lauT aaya
udasiyon ka ye mahaul ras aisa tha

fasil-e-shahr giri aur ghanim ke Dar se
koi na chain se soya hiras aisa tha

paDhen to KHud ko zamin-bos paen kaj-dastar
meri kitab mein ek iqtibas aisa tha