sulagna andar andar misra-e-tar sochte rahna
badan par Dal kar zaKHmon ki chadar sochte rahna
nahin kam jaan-gusil ye marhala bhi KHud-shanasi ka
ki apne hi maani lafz ban kar sochte rahna
zaban se kuchh na kahna bawajud-e-tab-e-goyai
khuli aankhon se bas manzar ba manzar sochte rahna
kisi lamhe to KHud se la-talluq bhi raho logo
masail kam nahin phir zindagi bhar sochte rahna
charagh-e-zindagi hai ya bisat-e-atish-e-rafta
jala kar raushni dahliz-e-jaan par sochte rahna
ajab shai hai 'faza' zehn o nazar ki ye asiri bhi
musalsal dekhte rahna barabar sochte rahna
Ghazal
Sulagna andar andar misra-e-tar sochte rahna
Faza Ibn e Faizi