sukut-e-marg mein kyun rah-e-naghma-gar dekhun
main KHud hi saz ki manind TuT kar dekhun
mere dayar tere shahr hain ki sahra hain
main ek tarah ka manzar nagar nagar dekhun
wahi hon aariz-o-abaru-o-chashm-o-lab phir bhi
har ek chehre pe ek chehra-e-digar dekhun
ziya-e-najm-o-mah-o-mehr-o-kahkashan se alag
ajib raushaniyan tujh ko dekh kar dekhun
meri kami tujhe mahsus ho rahi thi jahan
wahin pahunch ke teri rah umr bhar dekhun
ghubar-e-rah-e-numai se aT gai hai faza
taras gaya hun ki rahon ko ek nazar dekhun
teri shahi ki hawas mein hai meri jaan ka ziyan
main tere taj ko dekhun ki apna sar dekhun
na puchh harf-e-tamanna ki wusaten 'sadiq'
chale jo baat to sadiyan bhi muKHtasar dekhun

Ghazal
Sukut-e-marg mein kyun rah-e-naghma-gar dekhun
Sadique Naseem