sukun na tha magar itna bhi intishaar na tha
hamare chaaron taraf KHauf ka hisar na tha
tamam umr KHizan mein jhulaste guzri hai
hamare sar pe kabhi saya-e-bahaar na tha
raha hamesha kisi aur ke tasarruf mein
KHud apne dil pe kabhi apna iKHtiyar na tha
har ek hath uThae hue tha yun patthar
ki jaise shahr mein koi gunahgar na tha
amir-e-shahr ke chehre ke dagh-dhabbe the
fasil-e-shahr pe chaspan wo ishtihaar na tha
hazar daftar-e-mani khangal Dale 'naz'
magar kahin bhi koi harf-e-e'tibar na tha
Ghazal
Sukun na tha magar itna bhi intishaar na tha
Naz Quadri