sukun-e-dil to kahan rahat-e-nazar bhi nahin
ye kaisi bazm hai jis mein tera guzar bhi nahin
bhaTak raha hai zamana ghane andhere mein
wo raat hai jise andesha-e-sahar bhi nahin
na jaane kaun si manzil ko le chale hum ko
wo ham-safar jo haqiqat mein ham-safar bhi nahin
teri nigah ka dil ko yaqin sa hai warna
suni hai baat kuchh aisi ki mo'atabar bhi nahin
Ghazal
Sukun-e-dil to kahan rahat-e-nazar bhi nahin
Qateel Shifai