suKHan-wari hamein kab tajribe se aai hai
zaban mein chashni dil TuTne se aai hai
jidhar se mera badan dhup chaT kar guzra
hawa-e-sard usi raste se aai hai
taDapta main hun pasina hai us ke mathe par
shikast-e-dil ki sada aaine se aai hai
khula subut hai ye dushmanon ke shab-KHun ka
ki dhul Thahre hue qafile se aai hai
safar mein sath mera aur koi kya deta
hawa bhi meri taraf samne se aai hai
sahar ne mujh ko 'muzaffar' nahin kiya saiqal
meri nazar mein chamak ratjage se aai hai

Ghazal
SuKHan-wari hamein kab tajribe se aai hai
Muzaffar Warsi