اردو हिंदी
Subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main | Shaahi Shayari
subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main

Ghazal

Subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main

Ghulam Husain Sajid

;

subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main
raat hote hi unhi galiyon mein kho jata hun main

KHwab mein gum hun ki bahar ki faza achchhi nahin
aankh khulte hi kahin zanjir ho jata hun main

khinch lati hai usi kuche mein phir aawargi
roz jis kuche se apne shahr ko jata hun main

is andhere mein charagh-e-KHwab ki KHwahish nahin
ye bhi kya kam hai ki thoDi der so jata hun main

raat lati hai kisi ke qurb ki KHwahish magar
subh hote hi kisi se dur ho jata hun main

ji mein aata hai ki duniya ko badalna chahiye
aur apne aap se mayus ho jata hun main

bare bagh-e-sehn-e-duniya mein bahut din rah liya
KHush raho ab is gali se dosto jata hun main