subh-sawere KHushbu panghaT jaegi
har jaanib qadmon ki aahaT jaegi
sare sapne bandh rakhe hain gaThri mein
ye gaThri bhi auron mein baT jaegi
kya hoga jab sal naya ek aaega?
jiwan-rekha aur zara ghaT jaegi
aur bhala kya hasil hoga sahra se
dhul meri peshani par aT jaegi
kitne aansu jazb karegi chhati mein
yun lagta hai dharti ab phaT jaegi
haule haule subh ka aanchal phailega
dhire dhire tariki chhaT jaegi
naqqare ki gunj mein aaKHir-kar 'nabil'
sannaTe ki baat yunhi kaT jaegi
Ghazal
Subh-sawere KHushbu panghaT jaegi
Aziz Nabeel