subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi
kya KHabar aaj KHiraman sar-e-gulzar hai kaun
sham gulnar hui jati hai dekho to sahi
ye jo nikla hai liye mishal-e-ruKHsar hai kaun
raat mahki hui aai hai kahin se puchho
aaj bikhrae hue zulf-e-trah-dar hai kaun
phir dar-e-dil pe koi dene laga hai dastak
jaaniye phir dil-e-wahshi ka talabgar hai kaun
Ghazal
Subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi
Faiz Ahmad Faiz