subh ka afsana kah kar sham se
khelta hun gardish-e-ayyam se
un ki yaad un ki tamanna un ka gham
kaT rahi hai zindagi aaram se
ishq mein aaengi wo bhi saaten
kaam niklega dil-e-nakaam se
lakh main diwana-e-ruswa sahi
phir bhi ek nisbat hai tere nam se
subh-e-gulshan dekhiye kya gul khilae
kuchh hawa badli hui hai sham se
hae mera matam-e-tishna-labi
shisha mil kar ro raha hai jam se
be-KHudi par shayad us ka bas nahin
josh aa jata hai un ke nam se
har-nafas mahsus hota hai 'shakil'
aa rahe hain nama-o-paigham se
Ghazal
Subh ka afsana kah kar sham se
Shakeel Badayuni