sochte rahna yahi gham-KHwar se ho kar alag
koi tanha rah gaya 'ansar' se ho kar alag
katib-e-taqdir ne likhna tha jo wo likh diya
ab kahan jaun salib-o-dar se ho kar alag
ek lamhe mein utar jaega barson ka KHumar
kya karoge apne hi kirdar se ho kar alag
soch mein Duba hua hun main imarat ke qarib
gir paDi kyun chhat dar-o-diwar se ho kar alag
yun ba-zahir kar raha hai wo talluq se gurez
ji nahin sakta magar 'ansar' se ho kar alag

Ghazal
Sochte rahna yahi gham-KHwar se ho kar alag
Qazi Ansar