sochne ka bhi nahin waqt mayassar mujh ko
ek kashish hai jo liye phirti hai dar dar mujh ko
apna tufan na dikhae wo samundar mujh ko
chaar qatre na hue jis se mayassar mujh ko
umr bhar dair-o-haram ne diye chakkar mujh ko
be-kasi ka ho bura le gai ghar ghar mujh ko
shukr hai rah gaya parda meri uryani ka
KHak kuche ki tere ban gai chadar mujh ko
chup rahun main to KHamoshi bhi gila ho jae
aap jo chahen wo kah den mere munh par mujh ko
KHak chhana kiye hum qafile walon ke liye
qafile walon ne dekha bhi na muD kar mujh ko
aap zalim nahin, zalim hai magar aap ki yaad
wahi kam-baKHt satati hai barabar mujh ko
inqilabaat ne kuchh aisa pareshan kiya
ki sujhai nahin deta hai tera dar mujh ko
jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin
panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko
mil gai tishnagi-e-shauq se fursat ta-umr
apne hathon se diya aap ne saghar mujh ko
ab mera jazba-e-taufiq hai aur main 'bismil'
KHizr gum ho gae raste pe laga kar mujh ko
Ghazal
Sochne ka bhi nahin waqt mayassar mujhko
Bismil Azimabadi