soch ki lahron ka majma Thik hai
zindagi ka masala barik hai
ashk-rezi ki mujhe aadat nahin
gham barae gham meri tazhik hai
hum ko phulon ki sanad mil jaegi
KHushbuon ka madrasa nazdik hai
mere zaKHmon ki ana hai muKHtalif
teri hamdardi ka marham bhik hai
apni koshish to chamakti hai magar
kaamyabi ki gali tarik hai
muskurahaT ke taaqub mein 'asar'
aansuon ki dil-shikan tahrik hai

Ghazal
Soch ki lahron ka majma Thik hai
Sajid Asar