sitam ka tir jo hai wo teri kaman mein hai
jo kah chuka hun main wo hi mere bayan mein hai
main KHali jism hi ghar se nikal ke aaya hun
meri jo jaan hai ab bhi usi makan mein hai
isi liye to sabhi hum pe ho gae hawi
ye phuT aapsi jo apne KHandan mein hai
meri taraf jo ye dekhe to is se baat karun
ye mera dost magar jaane kis ke dhyan mein hai
agar main chahun harifon pe choT bhi kar dun
suKHan ka tir ek aisa meri kaman mein hai
ghurur-e-jism pe aur jaan pe are tauba
na jaane miTTi ka putla ye kis guman mein hai
makan pe ja ke zara is ke ThaT dekh 'nazir'
gada bhi aaj ka ye kitni aan-ban mein hai
Ghazal
Sitam ka tir jo hai wo teri kaman mein hai
Nazeer Meeruthy