sitara TuT ke bikhra aur ek jahan khula
ajib ruKH se andhere mein aasman khula
tulu-e-subh se pahle main chhoD jaunga
siyah raat ke pahlu mein ek makan khula
phir is ke baad koi rah wapsi ki na thi
hawa ke dosh pe is tarah baadban khula
main jis ko DhunD raha tha udas raaton mein
sitara ban ke wo palkon ke darmiyan khula
na jaane kaun mere KHwab le gaya mujh se
ki umr bhar na kabhi phir ye saeban khula
kabhi jo hath uThae 'rawish' dua ke liye
labon ke sath samaat ka bhi guman khula
Ghazal
Sitara TuT ke bikhra aur ek jahan khula
Shamim Ravish