اردو हिंदी
Sitara to kabhi ka jal-bujha hai | Shaahi Shayari
sitara to kabhi ka jal-bujha hai

Ghazal

Sitara to kabhi ka jal-bujha hai

Wazir Agha

;

sitara to kabhi ka jal-bujha hai
ye aansu sa teri palkon pe kya hai

daraKHton ko to chup hona tha ek din
parindon ko magar kya ho gaya hai

dhanak diwar ke raste mein hail
wagarna jast-bhar ka fasla hai

use band aankh se main dekh to lun
magar phir umr-bhar ka fasla hai

chalo apni bhi jaanib ab chalen hum
ye rasta der se suna paDa hai