sisakta chiKHta ehsas tha mere andar
kabhi to jhank ke wo dekhta mere andar
kisi ke lams ki KHwahish na faslon ki kasak
ye kaisa zahr uchhaala gaya mere andar
wo ek shaKHs jise DhunDna bhi mushkil tha
baDe KHulus se rahne laga mere andar
lahu ki sukhi hui jhil mein utar kar yun
talash kis ko wo karta raha mere andar
ye mera dil bhi sarapa mazar sa hai 'saba'
lagao katba kisi nam ka mere andar
Ghazal
Sisakta chiKHta ehsas tha mere andar
Aleem Saba Navedi