اردو हिंदी
Sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main | Shaahi Shayari
sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main

Ghazal

Sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main

Chandrabhan Khayal

;

sirf ek hadd-e-nazar ko aasman samjha tha main
aasmanon ki haqiqat ko kahan samjha tha main

KHud mila aur mil ke wo apna pata bhi de gaya
jabki sari kawishon ko raegan samjha tha main

zindagi ka rang pahchana gaya jine ke baad
dur se us rang ko uDta dhuan samjha tha main

mehrbanon se hamesha hi rahe shikwe gale
aur har na-mehrban ko mehrban samjha tha main

de raha tha wo sadaen aur main KHamosh tha
kashmakash ki us ghaDi ko imtihan samjha tha main

ho gaya hun qatl be-rahmi se un ke samne
haif jin logon ko apna pasban samjha tha main

pas se dekha to jaana kis qadar maghmum hain
an-ginat chehre ki jin ko shadman samjha tha main