sirf bachche hi nahin shor machane aate
sair karne yahan bimar bhi aa jate hain
dil bhi ho jata hai KHush apna tamasha kar ke
aur nibhane hamein kirdar bhi aa jate hain
kis qadar dukh hai tumhein dil ke ujaD jaane ka
ishq mein kaam to ghar-bar bhi aa jate hain
hum bhi aa jate hain bazar mein aankhen le kar
sham hote hi KHaridar bhi aa jate hain
Ghazal
Sirf bachche hi nahin shor machane aate
Ramzi Asim