silsila jumban ek tanha se ruh kisi tanha ki thi
ek aawaz abhi aai thi wo aawaz hawa ki thi
be-duniyai ne is dil ki aur bhi duniya-dar kiya
dil par aisi TuTi duniya tark zara duniya ki thi
apne andar hansta hun main aur bahut sharmata hun
KHun bhi thuka sach-much thuka aur ye sab chaalaki thi
apne-ap se jab main gaya hun tab ki riwayat sunta hun
aa kar kitne din tak us ki yaad mujhe puchha ki thi
hun saudai saudai sa jab se main ne jaana hai
tai wo rah-e-sar-e-saudai main ne be-sauda ki thi
gard thi begana-gardi ki jo thi nigah meri taham
jab bhi koi surat bichhDi aankhon mein nam-naki thi
hai ye qissa kitna achchha par main achchha samjhun to
ek tha koi jis ne yak-dam ye duniya paida ki thi
Ghazal
Silsila jumban ek tanha se ruh kisi tanha ki thi
Jaun Eliya