sine ka bojh ashkon mein Dhalte hue bhi dekh
patthar ko mauj-e-KHun mein pighalte hue bhi dekh
hathon mein apne waqt ki talwar ko sambhaal
phir zaKHm kha ke mujh ko sambhalte hue bhi dekh
aankhon ke aainon se haTa aansuon ki barf
aur mujh ko apni aag mein jalte hue bhi dekh
pahli nazar mein kar na kisi naqsh par yaqin
logon ko apni shakl badalte hue bhi dekh
kab tak phirega shahr mein parchhaiyon ke sath
suraj ko us gali se nikalte hue bhi dekh

Ghazal
Sine ka bojh ashkon mein Dhalte hue bhi dekh
Mumtaz Rashid