اردو हिंदी
Sina safi sun misl-e-darpan kar | Shaahi Shayari
sina safi sun misl-e-darpan kar

Ghazal

Sina safi sun misl-e-darpan kar

Daud Aurangabadi

;

sina safi sun misl-e-darpan kar
sham-e-fanus dil ki raushan kar

yaad kar ke KHayal gul-ru ka
dasht-e-dil mein bahaar-e-gulshan kar

gar nahin subha hath mein har waqt
dana-e-dam sun piw ki simran kar

garche hael hai parda-e-ghaflat
dida-e-dil kun khol rauzan kar

aib-poshi kun KHalq ki 'daud'
chashm seti palak kun sozan kar