sina-o-dil hasraton se chha gaya
bas hujum-e-yas ji ghabra gaya
tujh se kuchh dekha na hum ne juz jafa
par wo kya kuchh hai ki ji ko bha gaya
khul nahin sakti hain ab aankhen meri
ji mein ye kis ka tasawwur aa gaya
main to kuchh zahir na ki thi ji ki baat
par meri nazron ke Dhab se pa gaya
pi gai kitnon ka lohu teri yaad
gham tera kitne kaleje kha gaya
miT gai thi us ke ji se to jhichak
'dard' kuchh kuchh bak ke tu chaunka gaya
Ghazal
Sina-o-dil hasraton se chha gaya
Khwaja Meer u0027Dardu0027