sina-e-sang mein DhunDhta hai gudaz 
de KHuda dil ko ek aur umr-e-daraaz 
hum dikhana bhi chahen agar kuchh ko kuchh 
aainon se karen kis tarah saz-baz 
ek taraf KHwab hai ek taraf zindagi 
dekhiye kaun hota hai ab sarfaraaz 
tere gham se mili dil ko wo zindagi 
tujh se bhi kar diya hai hamein be-niyaz 
is tarah meri aankhon se aansu bahe 
be-wuzu hi ada ho gai har namaz 
ru-ba-ru us ke dil hi ko le kar chalen 
bah chalega to KHun baj uThega to saz 
ye jhuke ya kaTe bas tere waste 
mere kandhon ko de wo sar-e-imtiyaz 
un se bhi dil ko 'asrar' kaise kahin 
raaz ko to ba-har-haal rakhna hai raaz
        Ghazal
Sina-e-sang mein DhunDhta hai gudaz
Asrarul Haq Asrar

