shukr us ne kiya lab pe magar nam na aaya
marna bhi mera hae mere kaam na aaya
allah shab-e-hijr phir aisi na dikhae
ghaDiyon to mujhe yaad tera nam na aaya
ye tarz-e-jafa kis sikhai thi sitam-gar
sau zulm hue ek bhi ilzam na aaya
but-KHana to but-KHana hai allah-ri qismat
kaba se bhi 'mail' kabhi nakaam na aaya
Ghazal
Shukr usne kiya lab pe magar nam na aaya
Mirza Mayal Dehlvi