اردو हिंदी
Shoara mein na ho kyun sher hamara uncha | Shaahi Shayari
shoara mein na ho kyun sher hamara uncha

Ghazal

Shoara mein na ho kyun sher hamara uncha

Kishan Kumaar Waqaar

;

shoara mein na ho kyun sher hamara uncha
ki qad-e-yar ka mazmun hai bandha uncha

naz ki nashw-o-numa hai ki hai joban ka ubhaar
warna kya hai tere sine pe ye uncha uncha

dil musafir hai safar shab ka phir is par turra
kucha-e-zulf mein hai har jagah nicha uncha

ai adab KHar ki tazim hai nicha rahna
han kahin ho na sar-e-abla-e-pa uncha

zulf hai past jo gesu se to ye kakul se
chau-gune martaba mein is se hai turra uncha

chashm-e-bad-dur buland ashk hai sar se ek hath
ghair mumkin hai zamin se bahe dariya uncha

kyun 'waqar' apna gala pir-o-jawan phaDte hain
pir-e-kohna hai falak had se hai sunta uncha