shoalon se mohabbat ki meri jaan mein lagi aag 
phir jaan se bhaDak jism ke maidan mein lagi aag 
ye aatish-e-gham hai ki dam-e-sard se apne 
sar-chashma-e-KHurshid-e-daraKHshan mein lagi aag 
us hur ke kuche mein bhare hum jo dam-e-garm 
mardum ne kaha rauza-e-rizwan mein lagi aag 
KHandan jo hua yar hamein dekh ke giryan 
logon ne kaha barq se baran mein lagi aag 
in rozon mein hai rang jo ashkon ka gulabi 
shayad ki mere dida-e-giryan mein lagi aag 
garmi se nagar ke tere gun aab hua dekh 
bulbul ne pukara ki gulistan mein lagi aag 
nari hain jo pariyan ye sabab hai ki tumhaare 
nur-e-ruKH-e-raushan se paristan mein lagi aag 
us aatishin-ru ko ba-lab-e-baam jo dekha 
aalam ne kaha gumbad-e-gardan mein lagi aag 
dariya mein wo dhoya tha kabhi dast-e-hinai 
hasrat se wahin panja-e-marjaan mein lagi aag 
ghairon ki taraf jo nazar-e-mehr se dekha 
ghairat se mere sina-e-sozan mein lagi aag 
kyun kohkan-o-qais rahen mujh se na nalan 
nalon se mere koh-o-bayaban mein lagi aag 
wo soKHta-dil hun main pas-az-marg jo guzra 
marqad se mere yar ke daman mein lagi aag 
'matam' hai kisi soKHta-dil ka asar-e-ah 
be-wajh nahin kucha-e-jaanan mein lagi aag
        Ghazal
Shoalon se mohabbat ki meri jaan mein lagi aag
Maatam Fazl Mohammad

