shoala shamim-e-zulf se aage baDha nahin
sahra ki jalti ret mein ThanDi hawa nahin
pile badan mein nili ragen sard ho gain
KHun barf ho gaya hai koi rasta nahin
us ke makan ki chhat pe sulagne lagi hai dhup
kamre se apne raat ka Dera uTha nahin
baadal lipaT ke so gae suraj ke jism se
dariya ke ghar mein aaj bhi chulha jala nahin
KHamosh kyun khaDe ho mazaron ke shahr mein
be-jaan pattharon ne to kuchh bhi kaha nahin

Ghazal
Shoala shamim-e-zulf se aage baDha nahin
Rasheed Afroz