shikwe tere huzur kiye ja raha hun main
jo kuchh bhi ho qusur kiye ja raha hun main
wahm-e-tayyunat ka anjam dekhna
nazdikiyon ko dur kiye ja raha hun main
mahw-e-tawaf kucha-e-hasti mein rahmaten
shayad koi qusur kiye ja raha hun main
rakkhi hui hai sang-e-dar-e-yar par jabin
is ijz par ghurur kiye ja raha hun main
nazr-e-nigah-e-naz hain dil ki nazakaten
shishe ko chur chur kiye ja raha hun main
rabt-e-niyaz-o-naz ka aalam to dekhna
nadim hain wo qusur kiye ja raha hun main
socha kabhi na hazrat-e-waiz ne ye 'shakil'
rindon mein zikr-e-hur kiye ja raha hun main
Ghazal
Shikwe tere huzur kiye ja raha hun main
Shakeel Badayuni