shikwa is ka to nahin hai jo karam chhoD diya
hai sitam ye ki sitamgar ne sitam chhoD diya
le gaya chhin koi sab sar-o-saman-e-hayat
han magar ek sulagta hua gham chhoD diya
lag gai in ko bhi shayad tere kuche ki hawa
mai-kada rind ne zahid ne haram chhoD diya
hae us rah-raw-e-barbaad ki manzil ai dost
jis ne ghabra ke tera naqsh-e-qadam chhoD diya

Ghazal
Shikwa is ka to nahin hai jo karam chhoD diya
Akhtar Muslimi