shikast kha ke bhi kab hausle hain kam mere
mere kaTe hue hathon mein hain alam mere
panah-gah mujhe bhi to saur jaisi de
meri talash mein dushman hain taza-dam mere
tujhe main kaise bataun kahan se kaisa hun
ulajh rahe hain ba-dastur pech-o-KHam mere
kis aasman ki wusat talash karte hue
zamin se dur nikal aae hain qadam mere
tu ye sawal bhi ab dajla o furaat se puchh
main kya bataun kahan luT gae haram mere
jami rahi hai chaTanon pe barf sadiyon tak
to ja ke phir kahin patthar hue hain nam mere
Ghazal
Shikast kha ke bhi kab hausle hain kam mere
Afzal Gauhar Rao