shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-haal kahun
sukut-e-lab ko taqaza-e-sad-sawal kahun
hazar ruKH tere milne ke hain na milne mein
kise firaq kahun aur kise visal kahun
mujhe yaqin hai ki kuchh bhi chhupa nahin un se
unhen ye zid ki dil-e-mubtala ka haal kahun
tu be-misal sahi phir bhi dil ko hai israr
ada ada ko teri aalam-e-misal kahun
mizaj-e-mahfil-e-giti agar na barham ho
to rang-e-aish ko gard-e-ruKH-e-malal kahun
hawa ke dosh pe hai ek shola-e-larzan
kahun to kya teri tahzib ka maal kahun
wo ek KHwab jo tamir aap hai apni
main kya haqiqat-e-ranai-e-KHayal kahun
ghazal ki baat rahegi wahin agar sau bar
jawab-e-shoKHi o ranai-e-ghazal kahun
'rawish' ye sadgi-e-ishq ka taqaza hai
kamal-e-hosh ko iKHlas ka zawal kahun
Ghazal
Shikast-e-rang-e-tamanna ko arz-e-haal kahun
Ravish Siddiqi